Wednesday, October 22, 2008

kisi k prem ki kahaani meri jubaani.....

He priyatam,

Tumhaare mukh mandal k manoram darshan maatra se hi mere anatrman mein

Ek utsaah ki vega maano samandar ki lahron ki bhaanti angraai si lene lag jaati hai.

Rashmi ko dekh k bhi mujhe aisi anubhuti hoti thi ,par praan priye tumhaare waale tarang ki “frequency” ,'resonant frequency' k atyant karib hoti hai.tabhi to rashmi tumhaare pyaar k “amplitude” k aas paas bhi nahi pahaunch paayi kabhi.

Main uss rashmi ko hi “rashmi rathi” samajh baitha tha,par tumhe dekh k kar pata chala

Mujhe to kavita padhni hi nahi aati thi.

He prem pragyaani, tumne mere shithil jeevan ko apne prem k fabwaare se bilkul waise hi alankrit kar diya hai jaise apne college k premi yugalon ko nescaffe ne.

Jab dept. mein ayaa,tab sir ne kaha tha ,chhatro agar achcha civil eng.banna hai to analysis wa design achchi honi chaahiye.lekin main murakh ye naa samjh paaya ki analysis kiska karna hai,structure ya……maine to tumhaare chehre ki har shikan ko apna “shear force diagram” maana hai…aur tumhaare julfo ki har banaawat ko apni “bending moment diagram”.ab to design karna hi baaki tha, tumhaare chehre ki muskaarahat!!! tumhaare chehre ki muskaan hi meri reinforcement thi, jo sir ne bola tha tab hi dete hain jab structure “tension” mein ho,yaani mere liye tum. mere liye to pure kaaynaat mein sabse “stable structure” ek tumhraa hi thi naa priye.pahle to main pyaar ko mess ki kaali daal samjhta tha aur ladkiyon ko usme padi makkhi, lekin tumhaara pyaar to nescaffe k baadaam milk se bhi mithaa hai..aur tum makkhi nahii… makkhan aur kheer ho verka ki.

Tumhaara pyaar agar mass bunk ki masti hai, to rashmi ka pyaar verka k lassi ki tarah shasti hai.tumhaara pyaar agar 10 pointer hone ka shukhad ehshaas hai to rashmi ka pyaar maano structure design ki class hai.

Ab to periodical aur semester pariksha begaana sa lagta hai jaan.mujhe to bas ab tumhaare prem pariksha ki kausati pe hi khadaa utarna hai.kaksha mein bhi har vishay bas tumhaari ore hi le jaata hai.jab transportation eng padhhta hoon to meri pyaar ki gaddi swatah hi tumhaare dil ki ore chal parti hai.estimation n costing mein to tumhe diye gaye tohfe k hi estimate aur usme lagne waale cost ka bill banaata rahta hoon aur priye credit amount hameshaa hi debit se jyaada rahta hai.aur jab sir irrigation eng. Mein flood hydrograph bata rahe hote hain,tab main bhi banaa raha hota hoon,hamaara…… love-hydrograph.meri jeevan ki nayia to ab tumhaare haath mein hai priye,ya to apne pyaar k “buoyant force” k sahaare ise uss paar

Pahaunchaa do;ya phir iss maanjhi ko apne pyaar k bhoj tale doobne k liye chhod dena

Log kahte hai ishq insaan ko nikamma banaa deta hai,lekin mujhe kam se kam sajjanpur ka mahadev to banaa hi dega…aur asha hai ki agle safal premi yugal ki chitthi bhi mujhe hi likhni ka saubhaagya praapta hoga.aur ye kya..mujhe to iss ishq ne hindi club dwaara aayojeet prem patra lekhan pratiyogita mein ………….. sthaan bhi dilaa diya.

Naa kisi aur ka aur naa rashmi ka bas tumhaara,

Manish.

6 comments:

mansi said...

kya baat hai manish...ek sache civil engg. student ki dastan....sahi hai

Anonymous said...

$uperb......really gud.....har kuch hai yaar...ur way of writting is of elegance.......aise hi abhi jyada likh.........

Unknown said...

yeh dude ... tu itna chappu tha mujhe pata nahi tha... total entertainment... itna hilarious.... hahahahaha.... soch kar bhi hasi aa jati hai .... gr8 wrk

Unknown said...

vaise ek or baat.... inspiration kaha se li... i think i knw ur inspiraion but .. ek advice usko mat bhejna... :P

Unknown said...

Jhakaaas...zila hila diya...ekdam garda garda kar diya..:)
superb..pahle line se akhiri line tak full entertainment.
kaahan the abtak??? :)
ya sachmuch tumhari yeh utkrisht koti ki lekhni ab tak kisi chanchala(is it rashmi?? :P) ki prem-pratiksha me man ki kinhi gumnaam aur andheri gahraiyon me apne wajood se anjaan khoyi hui si thi......:P
(oh my god!!, u are playing with my mind..:P..or it's contagious.)

disha said...

very original..very hilarious..